Dil dharakne ka sabab yaad aayaa
Woh teri yaad thi ab yaad aayaa
Aaj mushkil tha sambhalna ae dost
Tu museebat mein ajab yaad aayaa
Din guzara tha bari mushkil se
Phir tera wadaa-e-shab yaad aayaa
Teraa bhoolaa huaa paimaan-e-wafaa
Mar rahenge agar ab yaad aayaa
Phir kaee log nazar se guzre
Phir koee shehr-e-tarab yaad aayaa
Haal-e-dil ham bhi sunate lekin
Jab woh rukhsat hue tab yaad aayaa
Baith kar saayaa-e-gul mein 'Nasir'
Ham bohat roye woh jab yaad aayaa
0 comments:
Post a Comment