Aadmi zubaan bhi hay, aadmi bayaan bhi hay, us say tum nahi dartay... Harf aur manay kay rishta-e-ahan say aadmi hay wabasta Aadmi kay daman say zindagi hay wabasta, us say tum nahi dartay... Ankahi say dartay ho? Jo abhi nahi aayi us ghari say dartay ho, us ghari ki amad ki agahi say dartay ho? Pahlay bhi to guzray hain dor naarasai kay, bairiya khudayii kay Phir bhi ye samajhtay ho haich arzumandi yeh shab-e-zuban bandi hay rahay khuda wandi Tum magar ye kya jano... Lab agar nahi hiltay, hath jaag uthtay hain Hath jaag uthtay hain rah ka nishan bankar Noor ki zuban bankar Hath bol uthtay hain subh ki aazan bankar Roshni say dartay ho? Roshni to tum bhi ho, roshni to hum bhi hain Roshni say dartay ho...????
0 comments:
Post a Comment