Subscribe

Wednesday, February 13, 2013

Tum admi se darty ho




Aadmi zubaan bhi hay, aadmi bayaan bhi hay, us say tum nahi dartay...
Harf aur manay kay rishta-e-ahan say aadmi hay wabasta
Aadmi kay daman say zindagi hay wabasta, us say tum nahi dartay...
Ankahi say dartay ho?
Jo abhi nahi aayi us ghari say dartay ho, us ghari ki amad ki agahi say dartay ho?
Pahlay bhi to guzray hain dor naarasai kay, bairiya khudayii kay
Phir bhi ye samajhtay ho haich arzumandi yeh shab-e-zuban bandi hay rahay khuda wandi
Tum magar ye kya jano...
Lab agar nahi hiltay, hath jaag uthtay hain
Hath jaag uthtay hain rah ka nishan bankar
Noor ki zuban bankar
Hath bol uthtay hain subh ki aazan bankar
Roshni say dartay ho?
Roshni to tum bhi ho, roshni to hum bhi hain
Roshni say dartay ho...????


0 comments:

Post a Comment

Top Ad 728x90